ads

Gator Website Builder

Thursday, December 20, 2018

Azab-e-danish-e-hazir se ba-KHabar

Azab-e-danish-e-hazir se ba-KHabar

KHudi ho ilm se mohkam to ghairat-e-jibril
Agar ho ishq se mohkam to sur-e-israfil

Azab-e-danish-e-hazir se ba-KHabar hun main
Ke main is aag mein Dala gaya hun misl-e-KHalil

Fareb-KHurda-e-manzil hai karwan warna
Zyyaada rahat-e-manzil se hai nashat-e-rahil

Nazar nahin to mere halqa-e-suKHan mein na baiTh
Ke nukta-ha-e-KHudi hain misal-e-tegh-e-asil

Mujhe wo dars-e-farng aaj yaad aate hain
Kahan huzur ki lazzat kahan hijab-e-dalil

Andheri shab hai juda apne qafile se hai tu
Tere liye hai mera shola-e-nawa qindil

Gharib o sada o rangin hai dastan-e-haram
Nihayat is ki husain ibtida hai ismail


Azab-e-danish-e-hazir se ba-KHabar


A walk to remember

A walk to remember Love is sufferer, love is kind.  It does now not envy, it does not boast, it is not proud.  It isn't rude,...